kaha ye maine ki apni aankhon mein KHwab rakhna

kaha ye main ne ki apni aankhon mein khwab rakhna
kaha ye us ne ki aankh rakhna azab rakhna

ye main ne puchha tha log kyun mar rahe hain itne
jawab aaya tum un ke khun ka hisab rakhna

kaha ye main ne zamin par amn ho sakega
kaha ki hathon mein alam rakhna kitab rakhna

kaha ye main ne ki zindagi kis tarah kategi
kaha ye us ne ki chahatin be-hisab rakhna

kaha ye main ne hawaen hain tund-o-tez kitni
wo hans ke boli ki kashtiyan zer-e-ab rakhna

kaha ye us ne ki daere se nikal ke dekhen
kaha ki pahle koi safar intikhab rakhna

kaha ye us ne ki bhid mein hum bichhad na jaen
kaha ki jude mein ek taza gulab rakhna

kaha ye us ne ki hum agar sach ka sath den to
kaha ye main ne ki sahne ki tab rakhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close