ye teri chah bhi kya teri aarzu bhi kya

ye teri chah bhi kya teri aarzu bhi kya
hamare jism mein ye daudta lahu bhi kya

hai jis ke dhyan mein har lamha khwab ka aalam
mile kahin to karen us se guftugu bhi kya

tere khayal ki khushbu tere jamal ka rang
hamare dasht mein lekin ye rang-o-bu bhi kya

ye tapti ret ye pyasi zamin yahan logo
kisi ke pyar se mahki hui numu bhi kya

hazar koh-o-bayaban kiye hain tai lekin
hue hum aabla-payan lahu lahu bhi kya

kisi ki yaad mein kat jae zindagi sari
ek aarzu to hai lekin ye aarzu bhi kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close