ye zaKHm hain ki phul hain ye zahr hain ki jam hain

ye zakhm hain ki phul hain ye zahr hain ki jam hain
magar ye mere sher ab faqat tumhaare nam hain

na tum se ho ki mil sako na mujh se ho ki waqt dun
tumhein bhi kitne kaam hain mujhe bhi kitne kaam hain

wo maslahat-shanas tha so us ka dosh kuchh nahin
ye shahr bhar ki tohmaten meri wafa ke nam hain

main us ko yaad jab karun ghazal ke dip jal uthen
nisar is khayal par ki lafz bhi ghulam hain

wo barishen agarche ab kisi ki ho chukin magar
ye mere dil ke raste hanuz tishna-kaam hain

ai kam-nazar na sarsari nazar se dekh tu ki hum
sahar ka ujla nur hain shafaq mein lipti sham hain

ab un se kya baghawaten ab un se kya adawaten
ki wo faqih-e-shahr hain wo waqt ke imam hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close