ye zamin wo aasman aisa na tha is tarah dariya kabhi bahta na tha zakhm bhi itne hare pahle na the ye chaman gul-rang bhi aisa na tha sar-barahna surajon ke sath the yun khayal-e-yar be-saya na tha ek sitara dil mein raushan tha magar aankh ne us ko kabhi dekha na tha is taraf hi dekhta rahta tha main wo daricha der tak khulta na tha ek hi sahra ke basi the sabhi koi apna koi begana na tha har taraf tarik thi duniya magar ek charagh-e-dil tha jo bujhta na tha