yun chale daur to rindon ka baDa kaam chale

yun chale daur to rindon ka bada kaam chale
khum badhe shisha jhuke baada dhale jam chale

jhel kar ahl-e-jahan sadma-o-alam chale
shad-kaam aae jo duniya mein wo nakaam chale

be-piye kuchh nahin jine ka maza ai saqi
raat-din jam chale jam chale jam chale

kucha-e-ishq mein taklif hi taklif rahi
hum ba-aram na aae na ba-aram chale

hath par hath dhare ahl-e-nazar baithe hain
husn agar kaam chalae to koi kaam chale

zinda rahne ke maqasid hain haqiqat mein yahi
hath panw apne chalen kaam chale nam chale

wadi-e-ishq mein rahbar ki zarurat kya hai
hum chalen aur hamara dil-e-nakaam chale

muskuraate hain jo ghunche to khile jate hain phul
daur-e-jam aise mein ai saqi-e-gulfam chale

ghair mumkin hai baghair us ke mohabbat ka nibah
dil se milta nahin jab dil hi to kya kaam chale

muddaa ye hai nikal aae dobara khurshid
ki jahan sham hui aap sar-e-baam chale

kyun kaha main ne ki sun lijiye rudad-e-sitam
wo bigad kar uthe dete hue dushnam chale

hazrat-e-'nuh' uthate hain jo tufan-e-sukhan
shayad is ka ho ye matlab ki mera nam chale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close