yun na koi teri mahfil mein pareshan ho jae

yun na koi teri mahfil mein pareshan ho jae
jaise aawaz-e-saba dasht mein hairan ho jae

muntazir hain meri aahat ki balaen kitni
ek mushkil to nahin hai ki jo aasan ho jae

chaak-e-daman hi zamane se nahin hota rafu
aur agar sina kabhi chaak-e-gareban ho jae

pech-dar-pech hai yun silsila-e-zulf-e-hayat
hath lagte hi jo kuchh aur bhi pechan ho jae

dagh-e-dil jalne lage bujh gai har sham-e-tarab
yun hai to yun hi sahi ghar mein charaghan ho jae

mujh pe qadghan hai ki main bazm mein khamosh rahun
aur khamoshi hi jo ruswai ka saman ho jae

nashtar-e-shauq ke hathon gul-e-sad-barg hai dil
khub ho ab jo ye nazr-e-dam-e-tufan ho jae

kyun na phir jalne lagen rashk se virana-o-dasth
shahr jab dil ki nigahon mein bayaban ho jae

dil ko sauda hai rahe rang-e-shafaq pesh-e-nazar
gham ko ek taur to bahlane ka saman ho jae

raushni sham ki sun pae na aawaza-e-shab
mohr-e-zartab ka aafaq se paiman ho jae

baat is aankh mein poshida hai wo 'arsh' ki jo
lab se nikle to mere sine pe paikan ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close