yun sitam ki na intiha kije tauba kije khuda khuda kije pyar mein kham hai ye sar-e-taslim aap ab jaaniye ki kya kije qarz koi bhi hum nahin rakhte aap chahat ki intiha kije tod kar shisha-e-yaqin mera lutf-e-azar kuchh siwa kije khwahishen dil mein jab sulagti hon kaise jine ka aasra kije jaan lije ki sath hai 'afroz' aap jab jab mujhe sada kije