yun tere mast sar-e-rah chala karte hain jaise shahan-e-falak-e-jah chala karte hain gham-e-duniya gham-e-jaanan gham-e-manzil gham-e-rah kitne gham zist ke hamrah chala karte hain dil bhi kya rahguzar hai ki hamesha jis mein zohra-o-mustari-o-mah chala karte hain ye to rindon ki gali hai idhar ai shaikh kahan aisi rahon mein to gumrah chala karte hain gham-e-dauran ki kadi dhup mein chalne wale ba-tamanna-e-shab-e-mah chala karte hain hum ko chalna hai jo gulshan mein to is tarah chalen jaise gulshan ke hawa-khwah chala karte hain yaad-e-mazi gham-e-imroz umid-e-farda kitne sae mere hamrah chala karte hain wadi-e-dil hai qadam soch ke rakhna ki 'shamim' tez is rah mein nagah chala karte hain