mujh ko dushwar hua jis ka nazara tanha kash mil jae kahin mujh ko dobara tanha ai shab-e-hijr mujhe tu ne to dekha hoga meri manind na tha subah ka tara tanha tum na thahre to kahan mauj-e-gurezan rukti meri aaghosh ki surat hai kinara tanha uzr kya kya na tarasha kiye arbab-e-hawas jaan dene ka hua ishq ko yara tanha yun bhi mahsus hua jaise ki main hi to hun ek lamhe mein jise main ne guzara tanha yun to duniya mein bahut hain ki rahe hain nakaam bazi-e-ishq ko main jaan ke haara tanha tu ne ai yar azizan ye inayat kyun ki zindagi yun bhi na thi mujh ko gawara tanha