yun to hasin akasr hote hain shan wale

yun to hasin akasr hote hain shan wale
lekin kuchh aur hai tu o aan-ban wale

naqus-e-dair phunkun kabe mein ya azan dun
tujh ko kahan pukarun o la-makan wale

mimbar pe baith kar tu itna bahak na waiz
kaisi ye nichi baaten unchi dukan wale

ye husn ye jawani mehman hai chand roza
is par na kar ye ghurra o aan-ban wale

kabe ko shaikh jae but-khane ko barahman
yunhi date rahenge us aastan wale

abru pe dal kar bal tirchhi nazar na kar tu
ye tir kaj padega banki kaman wale

ghairon pe to nazar hai meri bhi kuchh khabar hai
main bhi mita hua hun o aan-ban wale

talwar khinch kar kya bazu ko dekhta hai
do hath bas laga de ab imtihan wale

qael tera jahan hai han farq darmiyan hai
kuchh hain yaqin wale kuchh hain guman wale

farhad qais donon de baithe jaan aakhir
marte hain baat hi par jitne hain aan wale

wo kis liye bulaen jaen 'hafiz' hum kyun
wo bhi hain shan wale hum bhi hain aan wale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close