zabt ki qaid-e-sakht ne hum ko riha nahin kiya dard pe dard utha magar shor bapa nahin kiya duniya ne kya nahin kiya hum ne gila nahin kiya sab se burai li magar tum ko khafa nahin kiya jo bhi mutaliba hua uzr zara nahin kiya ab to nahin kahoge tum wada wafa nahin kiya umr guzar gai tumhein apna nahin bana sake sahne ko kya nahin saha karne ko kya nahin kiya hath mein apna hath do aao hamara sath do us ka bhi dil to tha magar dil ka kaha nahin kiya main to mariz-e-ishq hun meri sehat sehat nahin achchha mujhe nahin kya tum ne bura nahin kiya shayad wo din bhi aaega jis din kahenge hum se wo 'anjum' main sharmsar hun tera kaha nahin kiya