zad-e-rah bhi nahin be-raKHt-e-safar jate hain

zad-e-rah bhi nahin be-rakht-e-safar jate hain
sakht hairat hai ki ye log kidhar jate hain

be-khudi mein tere diwane jidhar jate hain
manzilen puchhti phirti hain kidhar jate hain

waqt pad jae to hum sina-sipar jate hain
nam hi nam nahin kaam bhi kar jate hain

hae kis mod pe haalat ne pahunchaya hai
aap ham-sae se hum sae se dar jate hain

ohde-daron mein bhi khushbu hai hasinon ki si
wada kar lete hain aur saf mukar jate hain

aap ja sakte nahin chand-sitaron se pare
hum wara-e-had-e-idrak-e-nazar jate hain

aap ke tanz sar aankhon pe magar yaad rahe
ye wo nashtar hain ke sine mein utar jate hain

jab bhi hota hai kahin tazkira-e-mehr-o-wafa
bhule-bisre hue kuchh naqsh ubhar jate hain

ilm ke sath saliqa ho to phir kya kahna
rang-e-uslub' se afkar nikhar jate hain

aap dekhen ye meri nind se bojhal aankhen
ho chuki raat ijazat ho to ghar jate hain

zulf kholo to ghani chhanw main kuchh susta len
do-ghadi ke liye sae mein thahar jate hain

zakhm alfaz ke nasur hua karte hain
baat zakhmon ki nahin zakhm to bhar jate hain

hum to warafta-e-ulfat mein hamara kya hai
aaj ye raat gae aap kidhar jate hain

kuchh na kuchh hote hain har shahr mein fan ke parakh
qadr hoti hai jahan ahl-e-hunar jate hain

lakh sanjida sahi 'taj' hasinon ki rawish
dil uda lene ke andaz kidhar jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close