yun paband-e-salasil ho kar kaun phire bazaron mein

yun paband-e-salasil ho kar kaun phire bazaron mein
khud hi qaid na ho jaen kyun apni hi diwaron mein

raat ke lamhon ki sangini dil ko dasti rahti hai
jism sulagta rahta hai tanhai ke angaron mein

raushniyon ke shahr andheron ke jadu mein dub gae
bujhne lagi ho nur ki mashal jaise chand-sitaron mein

dard ke tapte sahra mein ek aabla-pa sar-gardan hai
tum ko kya tum jashn manao khushiyon ke gahwaron mein

main koi suqraat na tha jo zahr ka pyala pi jata
main khud kaise dub sakunga apne lahu ki dhaaron mein

shahr ki rahen raqs-kunan hain rang faza mein bikhra hai
kitne chehre saje hue hain in chamkili caron mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close