zalim se mustafa ka amal chahte hain log

zalim se mustafa ka amal chahte hain log
sukhe hue darakht se phal chahte hain log

kafi hai jin ke waste chhota sa ek makan
puchhe koi to shish-mahal chahte hain log

sae ki mangte hain rida aaftab se
patthar se aaine ka badal chahte hain log

kab tak kisi ki zulf-e-pareshan ka tazkira
kuchh apni uljhanon ka bhi hal chahte hain log

bar-e-gham-e-hayat se shane hue hain shal
ukta ke zindagi se ajal chahte hain log

rakhte nahin nigah taqazon pe waqt ke
talab ke baghair kanwal chahte hain log

jis ko bhi dekhiye hai wahi dushman-e-sukun
kya daur hai ki jang-o-jadal chahte hain log

darkar hai najat gham-e-rozgar se
mirrikh chahte hain na zuhal chahte hain log

'ejaz' apne ahd ka main tarjuman hun
main jaanta hun jaisi ghazal chahte hain log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close