zamin apne hi mehwar se haT rahi hogi

zamin apne hi mehwar se hat rahi hogi
wo din bhi dur nahin zist chhat rahi hogi

badha raha hai ye ehsas meri dhadkan ko
ghadi mein sui ki raftar ghat rahi hogi

main jaan lunga ki ab sans ghutne wala hai
hare darakht se jab shakh kat rahi hogi

nae safar pe rawana kiya gaya hai tumhein
tumhaare panw se dharti lipat rahi hogi

ghalat kaha tha kisi ne ye ganw walon se
chalo ki shahr mein khairaat bat rahi hogi

falak ki samt uchhaali thi jal-pari main ne
sitare hath mein le kar palat rahi hogi

badan mein phail rahi hai ye kaenat 'azar'
hamari aankh ki putli simat rahi hogi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close