zamin hogi kisi qatil ka daman hum na kahte the akarat jaega khun-e-shahidan hum na kahte the ilaj-e-chaak-e-pairahan hua to is tarah hoga siya jaega kanton se gareban hum na kahte the tarane kuchh diye lafzon mein khud ko qaid kar lenge ajab andaz se phailega zindan hum na kahte the koi itna na hoga lash bhi le ja ke dafna de inhin sadkon pe mar jaega insan hum na kahte the nazar lipti hai sholon mein lahu tapta hai aankhon mein utha hi chahta hai koi tufan hum na kahte the chhalakte jam mein bhigi hui aankhen utar aain sataegi kisi din yaad-e-yaran hum na kahte the nai tahzib kaise lucknow ko ras aaegi ujad jaega ye shahr-e-ghazalan hum na kahte the