ishq mein mujhko bigaD kar ab sanwarna aa gaya

ishq mein mujh ko bigad kar ab sanwarna aa gaya
ho gaya nakaam lekin kaam karna aa gaya

ye agar sach hai ki mujh ko ishq karna aa gaya
to samajh lo roz jina roz marna aa gaya

dawa-e-ishq-o-wafa par mujh ko marna aa gaya
kah guzarne ki jagah ab kar guzarna aa gaya

warta-e-dariya-e-gham ne aise ghote de diye
dubna phir dub kar mujh ko ubharna aa gaya

chand khun-aluda aansu jazb-e-daman ho gae
paikar-e-sada mein gham ko rang bharna aa gaya

shewa-e-ishq-o-wafa mein hum ko nakaami sahi
kam se kam ye to hua be-maut marna aa gaya

shauq se zulm-o-sitam ab roz dhate jaiye
ahl-e-gham ko gham utha kar gham na karna aa gaya

kuchh tawahhum kuchh tawaqqoa kuchh alam kuchh imbisat
ishq kar ke mujh ko jina aur marna aa gaya

kasrat-e-azar ne talim de di zabt ki
jabr ke bais se dil ko sabr karna aa gaya

ashk aankhon mein pahunch kar dil mein phir wapas gae
yun samajh le chadhte dariya ka utarna aa gaya

kam se kam tha ek tarah ka aasra iqrar tak
lekin un ko saf ab inkar karna aa gaya

rahguzar se ishq ki main aaj tak guzra nahin
kis tarah kah dun mujhe ji se guzarna aa gaya

husn ki nakhwat ne pahunchaya uda kar arsh tak
ab to pariyon ka bhi tum ko par katarna aa gaya

bahr-e-zauq-o-shauq mein ye bhi ghanimat jaaniye
'nuh' ko tufan utha kar gharq karna aa gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close