zara si baat ho kya kya sawal karta hai mera hunar mujhe aksar nidhaal karta hai wo chat leta hai dimak ki tarah mustaqbil tumhein pata nahin mazi jo haal karta hai mere wajud ko sadiyon ka silsila de kar wo kaun hai jo mujhe la-zawal karta hai bade qarib se ho kar guzar gai duniya mila na us se mera dil kamal karta hai main chahta hun marasim bas ek samt chalen magar wo khud hi junub-o-shumal karta hai dua ka dar to sabhi ke liye khula hai magar jise yaqin ho is par sawal karta hai