zara si der jo KHauf-e-dawam KHatm hua

zara si der jo khauf-e-dawam khatm hua
ye mat samajh ki ye hu ka maqam khatm hua

kahan gaya jaras-e-karbala bula ke mujhe
ki raste mein mera ghar tamam khatm hua

na teri pyas ne dariyaon se hi baiat ki
na paniyon pe likha tera nam khatm hua

darakht sare samete hue hain shakh-e-khulus
chalo ki pahle safar ka qayam khatm hua

chunega sokhta khemon ki rakh aur koi
laga ke aag hawa ka to kaam khatm hua

sar-e-ufuq koi tara na be-nawa koi chikh
ye kin tabahiyon pe ranj-sham khatm hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close