zawal-e-shab mein kisi ki sada nikal aae sitara dube sitara-numa nikal aae ajab nahin ki ye dariya nazar ka dhoka ho ajab nahin ki koi rasta nikal aae ye kis ne dast-e-burida ki fasl boi thi tamam shahr mein nakhl-e-dua nikal aae badi ghutan hai charaghon ka kya khayal karun ab is taraf koi mauj-e-hawa nikal aae khuda kare saf-e-sardadgan na ho khali jo main girun to koi dusra nikal aae