nae ek shahr ko subh-e-safar kya le chali mujh ko sadaen de rahi hai ek chhoti si gali mujh ko main apni umr bhar ka chain jab us dar pe chhod aaya mili hai tab kahin ja kar zara si be-kali mujh ko main qatre gin ke insanon ki taqdiren banata hun zara si tishna-kaami ne bana dala wali mujh ko main wo gulshan-gazida hun ki tanhai ke mausam mein nahin hote agar kante to dasti hai kali mujh ko mohabbat thi use lekin mera iflas jab dekha pareshan si nazar aai wo nazon ki pali mujh ko 'qatil' aabaad jab ghar tha to kyun mujh par kahin ghazlen ye tana jate jate de gai ek dil-jali mujh ko