zehn rahta hai badan khwab ke dam tak us ka phir wahi ranj wahi khema-e-gham tak us ka meri aankhen meri dahliz pe rakh deta hai khas hai mere liye shauq-e-sitam tak us ka hai mere aab-e-mohabbat se wo shadab bahut meri pahchan mein hai qamat-e-nam tak us ka baadban ab to hawaon ko bhi pahchante hain hath pahuncha hai bahut der mein hum tak us ka dil-e-afsurda sar-e-sham sulag uthta hai sahil-e-jaan rakhe ab kaise bharam tak us ka wo to jhonke ki tarah aa ke guzar jata hai dasht-e-jaan us ka hai aur khwab-e-iram tak us ka ku-e-ehsas tere hausle taslim magar sehn-e-zindan hi lage naqsh-e-qadam tak us ka baat aaine se karne ko bhi mauqa dhunden khalwat-e-shauq tarashe hai sanam tak us ka