zikr-e-bahaar bhi raha zikr-e-KHizan ke sath

zikr-e-bahaar bhi raha zikr-e-khizan ke sath
teri bhi dastan hai meri dastan ke sath

un ka bhi kuchh khayal rahe ahl-e-karwan
jo aa rahe hain gard-e-rah-e-karwan ke sath

us waqt rang laega afsana-e-wafa
dil ka lahu jab aaega ashk-e-rawan ke sath

har chiz ajnabi si hai har shakhs ghair hai
duniya badal gai nigah-e-mehrban ke sath

'shaarib' ye jaanta hun ki duniya hai bewafa
chalna padega phir bhi isi karwan ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close