jiwan mujh se main jiwan se sharmata hun mujh se aage jaane walo mein aata hun jin ki yaadon se raushan hain meri aankhen dil kahta hai un ko bhi main yaad aata hun sur se sanson ka nata hai todun kaise tum jalte ho kyun jita hun kyun gata hun tum apne daman mein sitare baith kar tanko aur main nae baran lafzon ko pahnata hun jin khwabon ko dekh ke main ne jina sikha un ke aage har daulat ko thukraata hun zahr ugalte hain jab mil kar duniya wale mithe bolon ki wadi mein kho jata hun 'jalib' mere sher samajh mein aa jate hain isi liye kam-rutba shaer kahlata hun