zinda hun aur hijr ka aazar tak nahin wo kaam kar raha hun jo dushwar tak nahin ab main hun aur tujh ko manane ki justuju kuchh bhi nahin hai rah mein pindar tak nahin yani mera wajud hi mashkuk ho gaya ab to main apne-ap se bezar tak nahin dil bhi thakan se chur hua aur dimagh bhi aur aasman pe subh ke aasar tak nahin iqrar kar ke us ko nibhana kise nasib is umr mein to mohlat-e-inkar tak nahin thi jis ki por por meri lams-ashna ab yaad us ke gesu-o-rukhsar tak nahin is be-karan khala mein nigahon ko kya karun ab to nazar ke samne diwar tak nahin