zinda rakhni hai mujhe ijz ke mear ki dhun ek sandesa hai ye hukm se inkar ki dhun tu palat aa ki tujhe meri zarurat padegi tujh ko zinda nahin chhodegi ye be-kar ki dhun dost mansur se hoti hui hum tak pahunchi haq ki aawaz pe dat jate hue dar ki dhun aap aate hain chale jate hain milte hi nahin dil mein rah jati hai har bar hi izhaar ki dhun ai khuda izn mile teri taraf aane ka kitni betab hai ab tere gunahgar ki dhun shahr chhoda hai tere ishq ki wahshat ke sabab jaane le jae kahan ab dil-e-bimar ki dhun