zindagi apna safar tai to karegi lekin

zindagi apna safar tai to karegi lekin
ham-safar aap jo hote to maza aur hi tha

kaba o dair mein ab dhund rahi hai duniya
jo dil o jaan mein basta tha khuda aur hi tha

ab ye aalam hai ki daulat ka nasha tari hai
jo kabhi ishq ne bakhsha tha nasha aur hi tha

dur se yunhi laga tha ki bahut duri hai
jab qarib aae to jaana ki gila aur hi tha

mere dil ne to tujhe aur hi dastak di thi
tu ne ai jaan jo samjha jo suna aur hi tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close