zindagi ka lutf bhi aa jaega zindagani hai to dekha jaega jis tarah lakdi ko kha jata hai ghun rafta rafta gham mujhe kha jaega hashr ke din meri chup ka majra kuchh na kuchh tum se bhi puchha jaega muskura kar munh chida kar ghur kar ja rahe ho khair dekha jaega kar diya hai tum ne dil ko mutmain dekh lena sakht ghabra jaega hazrat-e-dil kaam se jaunga main dil-lagi mein aap ka kya jaega doston ki bewafai par 'hafiz' sabr karna bhi mujhe aa jaega