zindagi tere ajab Thor-Thikane nikle

zindagi tere ajab thor-thikane nikle
pattharon mein teri taqdir ke dane nikle

dard tis aur jalan se hain abhi na-waqif
zakhm jo bachche hatheli pe ugane nikle

main to har shai ka kharidar hun lekin wo aaj
itni jurat ki mere dam lagane nikle

nai tahqiq ne qatron se nikale dariya
hum ne dekha hai ki zarron se zamane nikle

talkh jumlon ke kahan tir khata ho pae
dekhne mein to ghalat us ke nishane nikle

zehn mein ajnabi samton ke hain paikar lekin
dil ke aaine mein sab aks purane nikle

de na paya wo koi wada-khilafi ka jawaz
muzmahil us ke na aane ke bahane nikle

main to khushiyon ke ugata raha paude 'akmal'
aur har shakh pe zakhmon ke khazane nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close