zohar-e-ashiqi se Darta hun

zohar-e-ashiqi se darta hun
husn ki barhami se darta hun

main ne dali kamand suraj par
phir bhi main raushni se darta hun

aa basa hun gali mein chikhon ki
is liye khamushi se darta hun

maskh pahchan ho na jae kahin
be-amal zindagi se darta hun

kuchh safai mein apni kahna hai
par teri munsifi se darta hun

khar ko khar gul ko gul kah dun
main kahan kab kisi se darta hun

apni tanhai khub hai 'mohsin'
bazm ki be-rukhi se darta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close