zulf-e-jaanan pe tabiat meri lahrai hai

zulf-e-jaanan pe tabiat meri lahrai hai
sanp ke munh mein mujhe meri qaza lai hai

aaj mai-khane pe ghanghor ghata chhai hai
ek duniya hai ki pine ko umad aai hai

zulf-e-shab-rang ka hai aks ye paimane mein
ya pari koi ye shishe mein utar aai hai

tu bata nawak-e-jaanan teri kya hai niyat
khanjar-e-yar ne to sar ki qasam khai hai

hur o ghilman meri aankhon mein samaen kyun kar
kis mein teri si ada teri si ranai hai

kuchh mudawa na hua tum se mariz-e-gham ka
kya isi barte pe dawa-e-masihai hai

surkhi-e-khun-e-shahidan ki jhalak hai is mein
dast-e-qatil pe ghazab rang hina lai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close