huzn-e-insan

jism aur ruh mein aahang nahin
lazzat-andoz-e-dil-awezi-e-mauhum hai to

khasta-e-kashmakash-e-fikr-o-amal
tujh ko hai hasrat-e-izhaar-e-shabab

aur izhaar se mazuri bhi hai
jism neki ke khayalat se mafrur bhi hai

is qadar sada o masum hai tu
phir bhi neki hi kiye jati hai

ki dil o jism ke aahang se mahrum hai tu
jism hai ruh ki azmat ke liye zina-e-nur

mamba-e-kaif-o-surur
na-rasa aaj bhi hai shauq-e-parastar-e-jamal

aur insan hai ki hai jada-kash-e-rah-e-tawil
ruh-e-yunan pe salam

ek zamistan ki hasin raat ka hangam-e-tapak
us ki lazzat se aagah hai kaun

ishq hai tere liye naghma-e-kham
ki dil o jism ke aahang se mahrum hai tu

jism aur ruh ke aahang se mahrum hai tu
warna shab-ha-e-zamistan abhi be-kar nahin

aur na be-sud hain ayyam-e-bahaar
aah insan ki hai wahmon ka parastar abhi

husn bechaare ko dhoka sa diye jata hai
zauq-e-taqdis pe majbur kiye jata hai

tut jaenge kisi roz mazamir ke tar
muskura de ki hai tabinda abhi tera shabab

hai yahi hazrat-e-yazdan ke tamaskhur ka jawab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close