aasmanon se utri ajnabi makhluq ya khud-kalami mein main dubi sada-e-ba-gasht hansta gata parinda aawara dahakte khwabon mein jalta paikar ya adh-khule darwazon se jhankta masum baalak be-nam jaziron ke andhe kuon se nikalne ki koshish-e-nakaam mein an-dekhe hazar jugnuon ke taaqub mein daudta hanpta kanpta aadha aadmi jo kabhi apna dil chir ke nadi ke bichhadte hue do kinaron par dafn kar aaya tha aur ab in donon kinaron par khada utarti bundon ke mausam mein din chadhe apne hi pighalte pinjar ka istiqbaal karta hai