mujh ko mahsur kiya hai meri aagahi ne main na aafaq ka paband na diwaron ka main na shabnam ka parastar na angaron ka na khalaon ka talabgar na sayyaron ka zindagi dhup ka maidan bani baithi hai apna saya bhi gurezan, tera daman bhi khafa raat ka rup bhi be-zar, charaghan bhi khafa subh-e-hairan bhi khafa, sham-e-harifan bhi khafa khud ko dekha hai to is shakl se khauf aata hai ek mubham si sada gumbad-e-aflak mein hai tar-e-be-maya kisi daman-e-sad-chaak mein hai ek chhoti si kiran mahr ke idrak mein hai jag ai ruh ki azmat ki mari khak mein hai
This is a great azmat e mustafa shayari. True lovers of maya shayari nepali will love this. Please share if you liked this!!!