ahl-e-dil ko bula raha hun

mujhe wadiat hui hai
jab tak tumhaari aankhen

maqam-e-binai tak na pahunchin
safed kaghaz ki raushni ko

siyah alfaz se musalsal chhupae rakhkhun
kaha gaya hai ye qaul bhi dun

jab aankhen khira na hongi
(yani maqam-e-binai par pahunch jaengi)

to kaghaz siyah karna main chhod dunga
nafi-e-mauud hain ye alfaz

asal isbaat chashm-e-bina
safed kaghaz mein padh rahi hain

ki harf-e-mauud bhi yahi hai
main sath-e-kaghaz se apne alfaz utha raha hun

ahl-e-dil ko bula raha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close