zara socho

mujhe malum hai jaanan
mere marne pe tum aansu bahaoge

meri har baat tum ko yaad aaegi
ba-mushkil bhul paoge

zara socho
ye narmi hamdami mein mujh ko mil jae to achchha ho

mujhe malum hai
meri ghalatiyon ko sarasar bhul jaoge

gile shikwe kabhi munh par na laoge
zara socho

tumhaari be-niyazi
gar meri maujudgi mein mujh ko mil jae to achchha ho

mujhe malum hai ye bhi
ki meri qabr par

tum phul rakkhoge mohabbat se
meri khatir wahin kuchh der rah kar gham bhulaoge

zara socho
ye chahat hath hi mein mujh ko mil jae to achchha ho

mujhe aisa bhi lagta hai
meri aawaz khamoshi mein sun kar chaunk jaoge

meri yaadon ke andhere mein apna dil jalaoge
zara socho

yaqin is raushni mein mujh ko mil jae to achchha ho
mujhe ehsas hota hai

ki mera ranj kuchh arsa tumhein maghmum rakkhega
tumhein zehni sukun se der tak mahrum rakkhega

magar jaanan
ye gham aasudgi mein mujh ko mil jae to achchha ho

jo mar kar tum se hasil ho
wo sab is zindagi mein mujh ko mil jae to

achchha ho
zara socho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close