ainak ke shishe par sarakti chyunti aage ke panw upar hawa mein utha kar pichhle panw par khadi hinhinati hai ghode ki tarah ainak ke niche dabe akhbar mein do hawai jahaz takra jate hain musafiron se ladi ek kashti ulat jati hai ek bas khai mein gir padti hai panch budhe faqir sardi se mar jate hain koila-kan mein pani bhar jata hai radio pukarta hai pachchis paise mein tin ainak ka shisha saf karti chyunti aahista se aage badh jati hai
This is a great zindagi ke upar shayari. Please share if you liked this!!!