bachchon ka KHat chacha KHarru shechof aur mamun candy

ai chacha kharru shichof ai mamun candy assalam
ek hi khat hai ye mamun aur chacha donon ke nam

aap donon ka adab karna hamara farz hai
phir bhi sun lije jo chhoti si hamari arz hai

aap donon hain bahadur surma kya is mein shak
ek baadal ki garaj hai ek shoale ki lapak

aap donon ke bayan sun sun ke dar jate hain hum
dham se aa girte hain hum bachchon pe ye lafzon ke bam

dar ke chhup jate hain apni maon ke aaghosh mein
kash hum behosh ho kar phir na aaen hosh mein

aap donon lad pade to jaane kya ho jaega
do minute mein is jahan ka khatma ho jaega

aag lag jaegi is duniya ko mar jaenge sab
jo bayan dete hain wo khamosh ho jaenge lab

do minute zinda rahenge hum bhi marne ke liye
kaun phir baqi rahega raj karne ke liye

aisa lagta hai ki kuchh din aur jina hai muhaal
gar nahin apna to bachchon hi ka kuchh kije khayal

ek taraf nafrat khadi hai dusri jaanib ghurur
qahr ki chakki mein pis jaen na bachche be-qusur

le chuke hain aap to ji bhar ke duniya ke maze
hum ko in se dur rakhna chahte hain kis liye

gar ijazat ho to hum bachche bhi duniya dekh len
chaar din hum bhi ye bhaalu ka tamasha dekh len

kuchh bhi to school aur ghar ke siwa dekha nahin
aap kahiye aap ne duniya mein kya dekha nahin

jang mat kije na duniya ki imarat dhaiye
sochiye kuchh ghaur kije dekhiye baz aaiye

aap ne duniya sajai thi mitane ke liye
aql ki shamen jalai thin bujhane ke liye

ilm-o-hikmat science ne ki thi taraqqi ke liye
aql ki shamen jalai thin bujhane ke liye

ilm-o-hikmat science ne ki thi taraqqi kis liye
nist-o-nabud aaj hum kar den use kya is liye

hum ne mana aap ka aapas mein hai kuchh ikhtilaf
ek jagah hum baith kar kar len na kyun dil apne saf

apni is duniya ki haalat is qadar jab zar hai
is ko dekhen chand mein jaana abhi be-kar hai

dur kije dil se nafrat aur gale mil lijiye
zindagi ki justuju mein khud-kushi mat kijiye

jang karni hai to kije ho magar aisi wo jang
aasman bhi jang aisi dekh kar ho jae dang

jang ke bare mein hum bachchon ki ek tajwiz hai
taki sab khush ho ke bolen jang achchhi chiz hai

aap ko masum bachchon ka hai gar kuchh bhi khayal
baithe baithe ek dam ho jaiye ghusse se lal

khoe ki topen liye maidan mein aa jaiye
in se ras-gullon ke gole har taraf barsaiye

mithe gole aap ki topon ke hum khate rahen
hont ye qaumi tarane dam-ba-dam gate rahen

hon har ek banduq mein rabdi ke rangin kartoos
aur har ek tank ki tanki mein mausammi ka juice

aap ke dushman ki faujon ko ho jab ghusse ki pyas
pesh kije muskura kar un ko sharbat ka gilas

dudh ke sagar mein hon kuze ki misri ke jahaz
jis mein hon jasus sine mein liye toffee ke raaz

bam phaten to un se niklen jhat khilaune be-shumar
tha ho aur lag jae guddon aur gudiyon ki qatar

gar koi bimar ho chilla raha ho pen se
choklet pahunchaiye jhat us ko airplane se

koi na-maqul aa kar galiyan bhi de agar
us se kahiye bhag ja hat tere munh mein ghi shakar

tir ulfat ke chalen goli chale ehsan ki
khatm kar dije raunat is tarah insan ki

chappe chappe par jahan mein aise atom-bomb phaten
is jahaalat ke andhere mein ujala jo karen

rockiton mein ho madad lakhon gharibon ke liye
aur agan buton mein khushiyan bad-nasibon ke liye

bhuke bachchon par falak se rotiyan barsaiye
moze jute kuchh qamizen nekaren phikwaiye

jang ki barud mein zaea na kije mal-o-zar
muskura kar daliye lakhon gharibon par nazar

jo gharibi ki thakan se ho rahe hain chur-chur
un ki jeben faltu noton se bhar dije huzur

pyar ka ulfat ka har zakhmi ko marham dijiye
apni khushiyan de ke dukh walon ke dukh le lijiye

jo bhalai mein maza hai wo burai mein nahin
bandagi mein jo maza hai wo khudai mein nahin

ye jahan pyara jahan kyun jang mein barbaad ho
is zamin par kyon na jannat pyar ki aabaad ho

jod kar hum hath nanhe khat ko karte hain tamam
aap ke bachchon ko sab duniya ke bachchon ko salam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close