bachpan ka wo zamana

aata hai yaad mujh ko bachpan ka wo zamana
rahta tha sath mere khushiyon ka jab khazana

har roz ghar mein milte umda laziz khane
be-mehnat-o-mashaqqat hasil tha aab-o-dana

bachchon ke sath rahna khushiyon ke git gana
dil mein na thi kudurat tha sab se dostana

mehndi ke patte lana aur pis kar lagana
phir surkh hath apne har ek ko dikhana

aawaz dugdugi ki jun hi sunai deti
us ki taraf lapakna bachchon ka walihana

har sal pyare abbu late the ek bakra
chaara use khilana maidan mein ghumana

wo dur ja chuka hai aata nahin palat kar
bachpan ka wo zamana lagta hai ek fasana

dadi ko main ne ek din ye mashwara diya tha
chehre ki jhurriyon ko aasan hai mitana

chehre pe aap ke hain jo be-shumar shiknen
aaya meri samajh mein un se najat pana

kapde ki sari shiknen mitti hain istiri se
aasan sa amal hai ye istiri chalana

ek garm istiri ko chehre pe aap pheren
umda hai mera nuskha hai shart aazmana

ek roz walida se ja kar kaha kitchen mein
ab chhodiyega ammi ye rotiyan pakana

ek ped rotiyon ka dalan mein lagaen
us ped ko kahenge roti ka karkhana

shakhon se taza taza phir rotiyan milengi
todenge rotiyan hum khaenge ghar mein khana

kaisi ajib baaten aati thin mere lab par
aaj un ko kah raha hun baaten hain ahmaqana

wo pyari pyari baaten ab yaad aa rahi hain
bachpan ka wo zamana kya khwab tha suhana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close