bahaar sab ke liye

surmai pahadon par
ye hare bhare jangal

shakh shakh hariyali
chumte hue panchhi

chaar su fazaon mein
zindagi mahakti hai

phul muskuraate hain
rang-o-nur ki chadar

odh kar hawa nikli
aasman raushan hai

dur tak zamin apni
banh khole man jaisi

khelte parindon ko
pyar se bulati hai

titliyon ke jhurmut se
ek ek pagdandi

be-nazir lagti hai
jaise koi man beti

saf suthre aangan mein
chutkiyon se rangon ki

raushni lutati hun
surmai pahadon ke

mashriqi kinaron par
raushni chamakti hai

zindagi damakti hai
ye bahaar ka mausam

is zamin se ugta hai
is zamin ka hissa hai

jis kisi ka ji chahe
ye bahaar le jae

surmai pahadon ke
jangalon ki shadabi

shakh shakh hariyali
jis kisi ka ji chahe

apni ruh mahkae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close