badnam ho raha hun

faryaadi-e-jafa-e-ayyam ho raha hun
pamal-e-jaur-e-bakht-e-nakaam ho raha hun

sargashta-e-khayal-e-anjam ho raha hun
basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun

bad-nam ho raha hun
salma se dil laga kar

basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun
salma se dil laga kar salma se dil laga kar

us hur-wash ke gham mein duniya-o-din ganwa kar
hosh-o-hawas kho kar sabr-o-sukun luta kar

baithe bithae dil mein gham ki khalish basa kar
har chiz ko bhula kar

salma se dil laga kar
basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun

kahti hain sab ye kis ki tadpa gai hai surat
salma ki shayad is ke man bha gai hai surat

aur us ke gham mein itni murjha gai hai surat
murjha gai hai surat kumhla gai hai surat

sanwla gai hai surat
salma se dil laga kar

basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun
panghat pe jab ki sari hoti hain jama aa kar

gagar ko apni rakh kar, ghunghat utha utha kar
ye qissa chhedti hain mujh ko bata bata kar

salma se baaten karte dekha hai is ko ja kar
hum ne nazar bacha kar

salma se dil laga kar
basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun

raaton ko git gane jab mil kar aati hain sab
talab ke kinare dhumen machati hain sab

jangal ki chandni mein mangal manati hain sab
to mere aur salma ke git gati hain sab

aur hansti jati hain sab
salma se dil laga kar

basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun
kheton se lautti hain jab din chhupe makan ko

tab raste mein baham wo meri dastan ko
dohra ke chhedti hain salma ko meri jaan ko

aur wo haya ki mari si leti hai zaban ko
ki chhede is bayan ko

salma se dil laga kar
basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun

kahti hai rahm kha kar yun ek mah-e-talat
ye shahri naujawan tha kis darja khub-surat

aankhon mein bas rahi hai ab bhi wo pahli rangat
do din mein aah kya hai kya ho gai hai haalat

allah teri qudarat
salma se dil laga kar

basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun
us shama-ru ka jab se parwana ban gaya hun

basti ki ladkiyon mein afsana bin gaya hun
har mah-wash ke lab ka paimana ban gaya hun

diwana ho raha hun diwana ban gaya hun
diwana ban gaya hun

salma se dil laga kar
basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun

un ki zaban pe meri jitni kahaniyan hain
kya jaanen ye ki dil ki sab mehrbaniyan hain

kam-sin hain be-khabar hain uthti jawaniyan hain
kya samjhen gham ke hathon kyun sar-giraniyan hain

kyun khun-fishaniyan hain
salma se dil laga kar

basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun
har ek ke rahm ka yun izhaar ho raha hai

bechaare ko ye kaisa aazar ho raha hai
dekhe to koi jaane bimar ho raha hai

kis darja zindagi se bezar ho raha hai
na-chaar ho raha hai

salma se dil laga kar
basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun

ek puchhti hai aa kar tum be-qarar kyun ho
kuchh to hamein batao yun dil-figar kyun ho

kya rog hai kaho to tum ashk-bar kyun ho
diwane kyun hue ho diwana war kyun ho

ba-haal-e-zar kyun ho
salma se dil laga kar

basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun
jaun shikar ko gar ba-hamrahan-e-sahra

kheton se ghurti hain yun dukhtaran-e-sahra
bijli ki raushni ko jaise miyan-e-sahra

tarik shab mein dekhen kuchh aahuwan-e-sahra
hairat kushan-e-sahra

salma se dil laga kar
basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun

ek shokh chhedti hai is tarah pas aa kar
dekho wo ja rahi hai salma nazar bacha kar

sharma ke muskura kar aanchal se munh chhupa kar
jao na pichhe pichhe do baaten kar lo ja kar

kheton mein chhup chhupa kar
salma se dil laga kar

basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun
goya hamein hasad se kuchh naznin nigahen

salma ki bha gai hain kyun dil-nashin nigahen
un se zyaada dilkash hain ye hasin nigahen

al-qissa ek dil hai sau khashmagin nigahen
shauq aafrin nigahen

salma se dil laga kar
basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun

ek shokh taza darad sasural se ghar aa kar
sakhiyon se puchhti hai jis dam mujhe bata kar

ye kaun hai to zalim kahti hain muskura kar
tum is ka haal puchho salma ke dil se ja kar

ye git use suna kar
salma se dil laga kar

basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close