baiza-e-mahram

ahd-e-parina mein bhi
zist par tha wahm ka kitna asar

ek ‎oracle ki talqin man kar
shah aagastas ki biwi 'lewiya'

apni angiya ki faza-e-garm mein rakhti thi ek marzi ka anda roz-o-shab
is ko ye wishwas tha

is ke hone wale bachche aur is chuze ki jins
ek hogi aakhirash yunhi hua

aashiyan garm-o-shokh-o-narm se
ek nar nikla to us ki kokh se bhi ek nar paida hua taibres

aur phir us ittifaqi waqe ne to zanan-e-rom mein
aam kar di baiza-e-mahram ki tarbiyat ki rasm


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close