chand ke tamannai

shahr-e-dil ki galiyon mein
sham se bhatakte hain

chand ke tamannai
be-qarar saudai

dil-gudaz tariki
ruh-o-jaan ko dasti hai

ruh-o-jaan mein basti hai
shahr-e-dil ki galiyon mein

tak shab ki belon par
shabnamin sarishkon ki

be-qarar logon ne
be-shumar logon ne

yaadgar chhodi hai
itni baat thodi hai

sad hazar baaten thin
hila-e-shakebai

suraton ki zebai
qamaton ki ranai

in siyah raaton mein
ek bhi na yaad aai

ja-ba-ja bhatakte hain
kis ki rah takte hain

chand ke tamannai
ye nagar kabhi pahle

is qadar na viran tha
kahne wale kahte hain

qarya-e-nigaran tha
khair apne jine ka

ye bhi ek saman tha
aaj dil mein virani

abr ban ke ghir aai
aaj dil ko kya kahiye

ba-wafa na harjai
phir bhi log diwane

aa gae hain samjhane
apni wahshat-e-dil ke

bun liye hain afsane
khush-khayal duniya ne

garmiyan to jati hain
wo ruten bhi aatin hain

jab malul raaton mein
doston ki baaton mein

ji na chain paega
aur ub jaega

aahaton se gunjegi
shahr-e-dil ki pahnai

aur chand raaton mein
chandni ke shaidai

har bahane niklenge
aazmane niklenge

aarzu ki gahrai
dhundne ko ruswai

sard sard raaton ko
zard chand bakhshega

be-hisab tanhai
be-hijab tanhai

shahr-e-dil ki galiyon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close