be-faiz mausam ki rafaqat mein

khudawanda
tujhe malum hai main ne

ye apni umr
kis be-faiz mausam ki rifaqat mein guzari hai

yaqin-o-be-yaqini ki aziyyat mein guzari hai
khudawanda

tujhe malum hai mere
har ek jaanib teri sau neamaten

bikhri hui thin
hazaron raste the

manzilen thin
raushni thi

rang the khushbu thi
phulon se ladi shakhen thin khwahish ki

tamannaen labon par muskurahat ke
kai naghme sajae raqs karti thin

kai jugnu meri shamon ke aangan se guzarte the
meri har aarzu ki apni peshani thi aur un se

kai suraj ubharte the
kai mahtab chehre

jhil si aankhen liye mere taaqub mein nikalte the
mujhe aawaz de kar

rokne ki koshishen karte na thakte the
kai dildar mausam the

ki jin mein titliyan barish ke rangon mein nahati
hath phailati

mare qurb-o-jawar dida-o-dil se guzarti thin
magar main ne

khudawanda
tujhe malum hai main ne

teri sari inayat ko
teri un neamaton ko aankh bhar kar bhi nahin dekha

khudawanda
tujhe malum hai

tu jaanta hai
ki mere dil aur meri aankhon mein bas wo

mausam-e-dil-dar basta tha
isi mausam ki chahat

aur mohabbat ka kahin
iqrar basta tha

isi mausam ko dil ne apni subh-sham jaana tha
agarche rah mein aaya hua sara zamana tha

khudawanda tujhe malum hai
tu jaanta hai

dilon ke zakhm
aur aankhon ki sari kaifiyat pahchanta hai

magar main ne
use jaanana pahchana

mujhe jo bhi kaha us ne
usi ko zindagi jaana

usi ko raushni jaana
khudawanda

tujhe malum hai us ne
basar ki zindagi meri

chura li raushni meri
tujhe malum hai sab kuchh

khudawanda tujhe malum hai sab kuchh
meri umr-e-guzishta ka

meri umr-e-rawan ka
ek ek lamha

usi be-faiz mausam ki rifaqat ke hi kaam aaya
magar ab main

khudawanda
magar ab main mohabbat ke

usi be-faiz mausam ki rifaqat ke
azabon

aur khwabon se
thaka-haara hua insan

rihai chahta hun
teri sau neamaten hain

un se tanhai ki neamat chahta hun
khudawanda tujhe malum hai main ne

ye apni umr kas be-faiz mausam ki rifaqat mein guzari hai
yaqin-o-be-yaqini ki aziyyat mein guzari hai

khudawanda
mujhe tanhai ki neamat ata kar de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close