ilahi rahm kar mujh par

ilahi
rahm kar mujh par

mere sine mein phir se dard uthta hai
sulagta hai alaw ki tarah

meri palkon se kuchh ummiden aansu ban ke yun jhadti hain jaise sukhe patte shakh se jhadte hain patjhad mein
mere ehsas aur jazbaat bachchon ki tarah rote bilakte hain

mere tute hue sapne
nigahon mein yun chubhte hain ke jaise kanch chubhta hai

mere arman meri aahon ki surat le ke
is dil se nikalte hain

meri kuchh khwahishen ab bhi machalti hain tadapti hai mere dil mein ke jaise machhliyan pani se bahar aa gai hon
tanaffus ka amal lagta hai yun jaise

ke meri ruh par kode koi barsa raha hai
badan yun sard hai

jaise lahu nabzon mein meri jam gaya hai
meri bechainiyon ka aisa aalam hai ke bas tauba

ilahi rahm bhi kar ab
ilahi rahm bhi kar

mujhe bhula hua ek shakhs phir yaad aa raha hai
mujhe bhula hua ek shakhs phir yaad aa raha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close