be-karan raat ke sannaTe mein

tere bistar pe meri jaan kabhi
be-karan raat ke sannate mein

jazba-e-shauq se ho jate hain aaza madhosh
aur lazzat ki giran-bari se

zehn ban jata hai daldal kisi virane ki
aur kahin is ke qarib

nind, aaghaz-e-zamistan ke parinde ki tarah
khauf dil mein kisi mauhum shikari ka liye

apne par taulti hai, chikhti hai
be-karan raat ke sannate mein!

tere bistar pe meri jaan kabhi
aarzuen tere sine ke kuhistanon mein

zulm sahte hue habshi ki tarah rengti hain!
in the dead silence of a shoreless night

ek lamhe ke liye dil mein khayal aata hai
to meri jaan nahin

balki sahil ke kisi shahr ki doshiza hai
aur tere mulk ke dushman ka sipahi hun mein

ek muddat se jise aisi koi shab na mili
ki zara ruh ko apni wo subuk-bar kare!

be-panah aish ke haijaan ka arman le kar
apne daste se kai roz se mafrur hun main!

ye mere dil mein khayal aata hai
tere bistar pe meri jaan kabhi

be-karan raat ke sannate mein!
sometimes on your bed, my love

in the dead silence of a shoreless night
limbs go lifeless with passion

and beneath this burden of pleasure
the mind sinks

into a quagmire of some wilderness
and somewhere nearby

sleep, like a bird fearing
predators at winter's dawn

prepares its wing, and screams
in the dead silence of a shoreless night


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close