bijli ke intizar mein

bahut uchhle wazir-e-tab-kari wo nahin aai
andhere mein ye shab-e-tanha guzari wo nahin aai

kisi ne chaar chhai das martaba kata tha galon par
main karta hi raha machchhar-shumari wo nahin aai

hamare ishq ki tajdid mein tha wapda hail
andhere hi mein zulf us ki sanwari wo nahin aai

hamare mulk mein nur-e-adalat aam karne ko
bahut garja tha adl-e-iftikhari wo nahin aai

zara si der ko baad-e-bahaari aai thi lekin
tadap utthe the garmi se bihaari wo nahin aai

mohalle se to sab aae the sham-e-arzu le kar
hukumat ka tha shayad panw bhaari wo nahin aai

kiya santosh ne inkar jab pankhe ko jhalne se
to chhat par so gai mina-kumari wo nahin aai

hamari bebasi ka ab tamasha dekhte kya ho
sitaro tum to so jao hamari wo nahin aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close