bisat-e-raqs

mujhe likhna tha sarshaari
mujhe likhna tha dildari

mujhe likhna tha apna half-nama
aur bayan-e-istighasa

baadshah-e-waqt ke maghrur aiwan-e-adalat mein
umadti khalq ki maujudgi mein

wardat-e-qatl-e-khuban ke haqaeq
aur bayan-e-khalq-e-barham

main qasid tha
ghulamon ka farastada

mere hone mein muzmar thi kharabi
jumla imkanat-e-mohlik

ek bhari banduq
main shair tha

mujhe elan karna tha
mere elan par honi thi saf-bandi

hisab-e-khun-baha
bebak hona tha

rabab-e-zindagi par
aarzu ka alamiya gana

alal-ailan
chaurahon pe

be-khud hona
gana

raqs karna
aur mar jaana

mera mansab muqarrar tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close