chalo musafir

chalo musafir, udas shamon ki rahguzar mein
sitare, dhunden

chhalakti aankhon mein zindagi ke jo bach gae hain wo khwab dhunden
bhatakti galiyon mein aablon ke gulab dekhen

pahad sochon mein sabz rangon ke khwab dekhen
chalo musafir

nishan-e-manzil jo khwab sa hai, jo aarzuon ka hadsa hai
usi ke raste mein kahkashaen bikher den hum

baqa ke raste mein khema-zan hain, khata ke lashkar, fana ke lashkar
chalo musafir fana ke ghar se

baqa ki manzil utha ke laenge
hikayaton mein haqiqaton ka mizaj bhar den

kisi ke ghar mein
andhere ghar mein

charagh rakh den
chhalakti aankhon mein khwab rakh den


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close