shairi ki kitab

khun mein dubi hui shairi
gham se wabasta ek naghmagi

sard hoti hui zindagi zindagi
jaan ghulati hui aagahi

ek bujhte hue khwab ki raushni
khubsurat dukanon ke aarasta shelf mein

la ke aakhir saja di gai
yani bikne bikne ki shai hi bana di gai

likhne wale ka ehsas apni jagah
par tijarat ke apne taqaze bhi hain

zehn ka ghunt ho ya ki tiryaq ho
nirkh-e-bazar ki nisbaton se sabhi

ek sajawat banawat ke paband hain
dekhiye roz-o-shab kis qadar shauq se

dard ki samt badhte hain gahak ke hath
zakhm bikte hain kitne saliqe ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close